Friday 29 April 2016

Google Adsense ko 2-3 mai approve kaise kare?

Hello, dosto previous post mai maine aapko Google Adsense kya hai aur woh kaise kaam karta hai uske bare mai aapko details mai bataya tha, sath mai maine yeh bhi aapko bataya tha ki Google Adsense account ko approve karna itna aasan kaam nahi. Alag alag country ke hisaaab se Google Adsense appke account ko approve karta hai. Kayi kayi desh mai toh Google Adsense ka account ko approve hone mai 6 months se 1 yesr tak ka time laag jata hai toh kayi desh o mai bohut jald approve ho jata hai. Hamara country India ki baat kare toh yaha Google Adsense ka account ko approve hone mai 6 month time laag jata hai. Tab tak aapna dharya banaye rakhna bohut muskil ho jata hai lekin mere dosto aap log udas maat hona kyun ki Google Adsense ko jald approve karne ke tarike ab main aap ko bataunga, aap sirf dhyan se mere iss post ko padhe aur ise samajhne ki kosis kare.
                                           
                                      Dosto, Google Adsense ko jald 2-3 din mai approve karne ke sabse best tarika hai Youtube. Aap sabhi ko pata hai ki Youtube ek esa madhyam hai jahapar hum aapne manpasand ke videos dekhte hai, yahapar hum e kayi tarah ke videos dekhne ko milte hai, lekin kya aap jante hai ki Youtube par videos upload karke bhi aap bohut sare paise kama sakte hai! Ji han, dosto iye bilkul sahi  baat hai, youtube aapke videos ki reality & quality check kar aapke videos par add lagakar aapko income karne ki oppurtunity deti hai, jab koi aapke videos ko dekhega aur uspar lagaya gaya add par click karega tab aapki income hogi par iske liye aapko Youtube partner banna hoga jo ki bohut aasan hai. Youtube partner banne ke liye aapke pass ek Gmail Id hona jaroori hai, agar aapke pass pehle sehi aapna khudka Gmail Id hai toh aap youtube par gmail id se login kar sakte hai, lekin agar aapke pass Gmail Id nehi hai toh Gmail.Com par jake aapna khudka ek gmail id banale phir youtube par aapke banaye gaye gmail id dwara login kare.  
       
                                      Youtube par toh aapne channel banaya liya hoga par ab aapko Youtube ko Google Adsense account se jodna hoga, iske liye pehle aapko youtube par 3-4 videos ko upload karna hoga, jo ki aapke khud ki banayi gayi video ho, kyuun ki aap kisi ke copyright video ko upload nahi kar sakte, youtube ki technical commitee ispar kari nazar rakhti hai. Videos ko upload karne ke baad jab aapke videos par minimum 2-3 hazar viewers ho jayenge tab aap Youtube ke monize option me jaye aur ise enable kar de jisse ki aapki videos par add display hone mai asani ho. Ab aapko karna iye hai ki aapke youtube channel ko Google Adsense se jodna hai aur aapke account ko approve karna hai. Maine aapko pehlehi batay tha ki Youtube ek esa madhyam hai jiske sahare aap bohut asani se Google Adsense account ko approve kar sakte hai, jab 23 din mai aapki account approve ho jayegi tab aapke gmail id per ek confirmation mail ayega jisme aapke account approve hua ki nahi iye jankari aapko mil jayegi.
             
                                      Dosto, mai umid karta hun ki aap mere batay gaye steps ko follow karke bohut jald aapke Google Adsense account ko approve kar lenge. Yaha aapke payment Google Adsense ke madhyam se hoti hai jo ki har month ki 20 tarikh ko aapke bataye gayi bank account per aajayegi.
                       
                                     Toh, dosto kaisa laga mera yeh article, comment kare. Agar aapke pass koi sawal hai toh plz, comment mai likhe, mai positively aapke sawal ko ans karunga...

No comments:

Post a Comment

Reservation ke bisay mai kuch baatein.

Hello, Dosto aaj mai aap sabke sath ek jaroori aur gambhir barta share karne ja raha hu, so apna patience banaye rakkhe aur mere iss blog k...