Wednesday 1 June 2016

Youtube se easily video download karne ka tarika.

Dosto, yeh toh aap sabhi ko pata hai ki Youtube ek esa madhyam hai, jaha hume kai tareke aapne manpasand videos dekhne ko milte hai, yaha par hume music, movies, sport, educational, technical etc  jaise har category ke videos asasi ne search karne par mil jaate hai. But, hum un videos ko online dekhte hai, jiske wajase hamara net bohut jald khatam ho jata hai, aur agar net slow hua toh buffering ki wajah se hume online dekhne mai bhi dikkat hoti hai, lekin agar hume videos ko without buffering mai dekhna hai toh! Iske liye youtube se videos ko download karna padta hai...
                                                           
                                                                      Youtube se video download karneke toh kayi tarike aapko pata hoga, but kabhi kabhi ea tarike thik se kaam nahi karte, jiske wajah se aap Youtube se videos ko  download karne par kayi baar fail ho jate ho. Lekin, Dosto main aaj aapko ek esa tarika batane wala hun jo ki videos download karneke mamle mai best hai. To chaliye aab mai aapko woh best tarika bata du.
                                                          Mai aapko jo tarika batana chahata hun woh hai- 9xbuddy.com.
Ab aapke maan mai sawal hoga ki yeh tarika kaam kaise karta hai, chaliye mai aapko puri details mai dikhata hun:- 
                      1st aap youtube.com per jaye uske baad aap jis video ko download karna chahate ho woh select karke uspe click karde. Jab aapka video open ho gaya hoga tab aapko video ke upar web address per ek video url dikhayi degi jaise ki:- 
                                                 https://www.youtube.com/watch?v=Lqv0KUewagw
                                      
Aap chahe kisibhi video ko open kare aapko har videos per esehi url dikhegi, ab url toh dikh rahi hai per uske sahare video ko download karna hai, chaliye dekhte hai:-
                                              
                                                Ab aapko karna yeh hai ki, jo video url aapko dikh rahi hai uske youtube ke 'y' se pehle aapko bas 9x add karke 'Enter' press kar dena hai, dekhiye jaise maine add kiya hai:-                                   https://www.9xyoutube.com/watch?v=Lqv0KUewagw   

Aap yaha dekh sakte hai ki jaisa maine aapko bataya ki youtube ke 'y' se pehle 9x add karna hai maine waisa hi 9x ko 'y' se pehle add kar diya. Ab aapko 'Enter' press karna hai.

                                                    Enter press karne ke bad kuch is tarah ka pege open hoga:-

Aap is image pe dekh sakte hai ki page open ho gaya hai, Yah per aapko bohut sare Format milegi video download karne ke bas aapko wohi select karna hai jaisa quality aap chahate hain. Niche maine video qualitys ke image diya hai aap dekh sakte hai:-



Aapko yaha kayi format ke video option milegi bas aapko jaisi format & quality ki videos chahiye usper click kar de, aapki download automatically start ho jayegi. Aapko agar HD video chahiye toh HD per click kare aur agar MP4 & 3GP format ke chahiye toh uspar click karde aapka download start ho jayega.
                               Toh dosto ab aapko pata chal hi gaya hoga ki youtube se videos ko kaise download karna hai. Agar aapko mera ea post accha laga toh niche comment box pe comment karna na bhule...

Reservation ke bisay mai kuch baatein.

Hello, Dosto aaj mai aap sabke sath ek jaroori aur gambhir barta share karne ja raha hu, so apna patience banaye rakkhe aur mere iss blog k...